ret hamāre talve bhūntī hai
aur āñkheñ laal kartī hai
jhiil par kuchh nazar nahīñ aatā
chāñd hamāre ḳhvāboñ se nikal kar
sarhadoñ par Dher ho gayā hai
kināre par gire biij āñkheñ kholte haiñ
aur phir hamesha ke liye muuñd lete haiñ
za.afrān kā khet is baar bhī baar aavar na huā
kaun kurede miTTī
aur apnā nasīb talāsh kare
zamīn ko koī dekhtā hī nahīñ
sab āsmān kī taraf dekhte haiñ
magar ye nahīñ jānte
ki chīḳh chīnār se ūñchī kyoñ nahīñ jaatī
chāñdnī kohsāroñ se phisaltī hai
aur barf chhatoñ se
shangarfī siloñ par girte girte
koī lafz banā detī hai
koī bhī lafz
jo zabān par aane se pahle
kahīñ ḳhayāl meñ ugtā hai
jis ke ma.anī par koī gavāh nahīñ
ret hamare talwe bhunti hai
aur aankhen lal karti hai
jhil par kuchh nazar nahin aata
chand hamare KHwabon se nikal kar
sarhadon par Dher ho gaya hai
kinare par gire bij aankhen kholte hain
aur phir hamesha ke liye mund lete hain
zafran ka khet is bar bhi bar aawar na hua
kaun kurede miTTi
aur apna nasib talash kare
zamin ko koi dekhta hi nahin
sab aasman ki taraf dekhte hain
magar ye nahin jaante
ki chiKH chinar se unchi kyon nahin jati
chandni kohsaron se phisalti hai
aur barf chhaton se
shangarfi silon par girte girte
koi lafz bana deti hai
koi bhi lafz
jo zaban par aane se pahle
kahin KHayal mein ugta hai
jis ke mani par koi gawah nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.