barf
kal shab
jab sūraj ne
apnī āñkheñ mūñdīñ
apnā dāman khīñchā
aur havā kā sarpaT ghoḌā bāñdh diyā
aur falak par ik jānib se
chādar maTyālī sī taanī
pariyāñ
halke sīmīñ un ke par
raftār ḳhirāmāñ
utreñ
dhīre
dhīre
jaise par hoñ
dosh-e-havā par
utreñ
pariyāñ
mil kar
raqsāñ raqs kī lai maddham sī
aahaT raushan shabnam sī
lai halkī sur dhīmā
dhīmā
chāñdī sī chādar meñ pariyāñ
sīmīñ pariyāñ
ek tasalsul ek adā se utrīñ
utrīñ
shāḳh-e-shajar par
chhat par
dar par
farsh-e-siyah par
ye sab raushan the ujle the
jaise abraq
chupke chupke chheḌ rahī thiiñ
shāḳhoñ ke barbat ko
jaise niiñd meñ khoyā mutrib
apnī uñglī kī jumbish se
ḳhvāb-āvar naġhmāt jagā.e
hāthoñ meñ thā saaz anokhā
lab pe ḳhamoshī ke naġhme the
raqsāñ
raqs kī lai maddham sī
raqs meñ thiiñ
shab
sīmīñ pariyāñ
farsh thā ab ujlā ujlā sā
shāḳh-e-shajar kā
chhat kā
dar kā
chāñdī kā sā thā pairāhan
un ke lams meñ ik jaadū thā
har ik shai se
ek anokhī hīroñ jaise aab thī paidā
ūñchā peḌ sanobar kā
mauhūm asā hāthoñ meñ thāme
jashn-e-shab ko dekh rahā thā
rañgat us kī badlī badlī
yuuñ goyā thā
maiñ ne dekhā hai
raat kā raahī vaqt se pahle
ik mailī sī chādar oḌhe
gahrī niiñd meñ Duubā
naddī-nāle gum-sum
jharne chup chup
maiñ ne dekhā
ujlā ujlā ḳhema gul kā
shāḳh
shajar kā
chāñdī kā sā thā pairāhan
bharā huā thā chāñdī-far se
shab kā dāman
kal shab
jab suraj ne
apni aankhen mundin
apna daman khincha
aur hawa ka sarpaT ghoDa bandh diya
aur falak par ek jaanib se
chadar maTyali si tani
pariyan
halke simin un ke par
raftar KHiraman
utren
dhire
dhire
jaise par hon
dosh-e-hawa par
utren
pariyan
mil kar
raqsan raqs ki lai maddham si
aahaT raushan shabnam si
lai halki sur dhima
dhima
chandi si chadar mein pariyan
simin pariyan
ek tasalsul ek ada se utrin
utrin
shaKH-e-shajar par
chhat par
dar par
farsh-e-siyah par
ye sab raushan the ujle the
jaise abraq
chupke chupke chheD rahi thin
shaKHon ke barbat ko
jaise nind mein khoya mutrib
apni ungli ki jumbish se
KHwab-awar naghmat jagae
hathon mein tha saz anokha
lab pe KHamoshi ke naghme the
raqsan
raqs ki lai maddham si
raqs mein thin
shab
simin pariyan
farsh tha ab ujla ujla sa
shaKH-e-shajar ka
chhat ka
dar ka
chandi ka sa tha pairahan
un ke lams mein ek jadu tha
har ek shai se
ek anokhi hiron jaise aab thi paida
uncha peD sanobar ka
mauhum asa hathon mein thame
jashn-e-shab ko dekh raha tha
rangat us ki badli badli
yun goya tha
main ne dekha hai
raat ka rahi waqt se pahle
ek maili si chadar oDhe
gahri nind mein Duba
naddi-nale gum-sum
jharne chup chup
main ne dekha
ujla ujla KHema gul ka
shaKH
shajar ka
chandi ka sa tha pairahan
bhara hua tha chandi-far se
shab ka daman
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.