barf ki guDiya
barf kī guḌiyā
jāntī hai
dhuup meñ kitnā pasījnā hai
ThanD meñ kitnā akaḌnā hai
use batāyā gayā hai guḌiyā hone kā matlab
ujlā honā añdheroñ ko khaTaktā hai
har añdherā use taarā banānā chāhtā hai
dāman meñ sameTnā
lekin chāñd kī tarah māthe par sajānā nahīñ chāhtā
kyoñ ki aḳhtar-shumārī se mahaz raat kaaTī jā saktī hai
din nahīñ
barf kī guḌiyā pighalnā chāhtī hai
vo bāhar aanā chāhtī hai apne vajūd ke sāñche se
lekin darvāze par baiThe haiñ saare aqdār
ehtijāj karte hue
muhājir dast-bardār
ki agar badal gayā barf kā rang
to bhiig jā.egā un kā kāġhazī pairahan
barf kī guḌiyā gar paanī ban kar bhaap ban jā.egī
tab zamīn use dekhegī
usī zarūrat kī nazar se
barf ki guDiya
jaanti hai
dhup mein kitna pasijna hai
ThanD mein kitna akaDna hai
use bataya gaya hai guDiya hone ka matlab
ujla hona andheron ko khaTakta hai
har andhera use tara banana chahta hai
daman mein sameTna
lekin chand ki tarah mathe par sajaana nahin chahta
kyon ki aKHtar-shumari se mahaz raat kaTi ja sakti hai
din nahin
barf ki guDiya pighalna chahti hai
wo bahar aana chahti hai apne wajud ke sanche se
lekin darwaze par baiThe hain sare aqdar
ehtijaj karte hue
muhajir dast-bardar
ki agar badal gaya barf ka rang
to bhig jaega un ka kaghazi pairahan
barf ki guDiya gar pani ban kar bhap ban jaegi
tab zamin use dekhegi
usi zarurat ki nazar se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.