barf ki murti
barf kī āñdhiyāñ
chīḳhtī dahāḌtī
ek haijān meñ
shahr-e-jāñ kī fasīloñ pe yuuñ
hamla-āvar huiiñ
ik dhamāka huā
sab shajar gir ga.e
har makāñ Dhe gayā
dar darīchoñ ke TukḌe hue
jā-ba-jā āb-e-jū munjamid ho ga.ī
har galī yaḳh safedī meñ yuuñ chhup ga.ī
barf kī ret kā Dher saarā nagar ho gayā
aur us se tarāshī ga.ī
ik chamaktī huī barf kī mūrtī
kaam aatī hai bachchoñ ke har khel meñ!!
barf ki aandhiyan
chiKHti dahaDti
ek haijaan mein
shahr-e-jaan ki fasilon pe yun
hamla-awar huin
ek dhamaka hua
sab shajar gir gae
har makan Dhe gaya
dar darichon ke TukDe hue
ja-ba-ja aab-e-ju munjamid ho gai
har gali yaKH safedi mein yun chhup gai
barf ki ret ka Dher sara nagar ho gaya
aur us se tarashi gai
ek chamakti hui barf ki murti
kaam aati hai bachchon ke har khel mein!!
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.