barf yunhi gire
barf yūñhī gire
choTiyoñ ko pahāḌoñ kī Dhaktī rahe
kohsāroñ meñ chāñdī pighaltī rahe
aag jaltī rahe
meñh barastā rahe
ārzuoñ ke bechain se qāfile
yūñhī āhistagī se sarakte raheñ
ham yūñhī ḳhvāb kī vādiyoñ se guzarte raheñ
ham yūñhī har taraf
vādiyoñ kohsāroñ meñ tahlīl hote raheñ
daraḳhtoñ kī shāḳhoñ pe is tarah hī
sāf-shaffāf motī damakte raheñ
raqs shāḳhoñ kā paiham hī jaarī rahe
barf kī aag bas yūñhī jaltī rahe
barf yuuñ hī gire
barf yunhi gire
choTiyon ko pahaDon ki Dhakti rahe
kohsaron mein chandi pighalti rahe
aag jalti rahe
meinh barasta rahe
aarzuon ke bechain se qafile
yunhi aahistagi se sarakte rahen
hum yunhi KHwab ki wadiyon se guzarte rahen
hum yunhi har taraf
wadiyon kohsaron mein tahlil hote rahen
daraKHton ki shaKHon pe is tarah hi
saf-shaffaf moti damakte rahen
raqs shaKHon ka paiham hi jari rahe
barf ki aag bas yunhi jalti rahe
barf yun hi gire
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.