barg-rez
ThanD khā kar ThiThur ga.e patte
āñdhiyoñ meñ bikhar ga.e patte
peḌ har raah chalne vaale se
pūchhte haiñ kidhar ga.e patte
aa.e le kar julūs aahoñ kā
sar jhukā.e guzar ga.e patte
itnā sunsān to na thā manzar
jitnā sunsān kar ga.e patte
dil kī pagDañDiyāñ udaas haiñ aaj
koī kahtā hai mar ga.e patte
ThanD kha kar ThiThur gae patte
aandhiyon mein bikhar gae patte
peD har rah chalne wale se
puchhte hain kidhar gae patte
aae le kar julus aahon ka
sar jhukae guzar gae patte
itna sunsan to na tha manzar
jitna sunsan kar gae patte
dil ki pagDanDiyan udas hain aaj
koi kahta hai mar gae patte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.