bargad
mere raste meñ ik moḌ thā
aur us moḌ par
peḌ thā ek bargad kā
ūñchā
ghanā
jis ke saa.e meñ merā bahut vaqt biitā hai
lekin hamesha yahī maiñ ne sochā
ki raste meñ ye moḌ hī is liye hai
ki ye peḌ hai
umr kī āñdhiyoñ meñ
vo peḌ ek din gir gayā hai
moḌ lekin hai ab tak vahīñ kā vahīñ
dekhtā huuñ to
aage bhī raste meñ
bas moḌ hī moḌ haiñ
peḌ koī nahīñ
rāstoñ meñ mujhe yuuñ to mil jaate haiñ mehrbāñ
phir bhī har moḌ par
pūchhtā hai ye dil
vo jo ik chhāñv thī
kho ga.ī hai kahāñ
mere raste mein ek moD tha
aur us moD par
peD tha ek bargad ka
uncha
ghana
jis ke sae mein mera bahut waqt bita hai
lekin hamesha yahi main ne socha
ki raste mein ye moD hi is liye hai
ki ye peD hai
umr ki aandhiyon mein
wo peD ek din gir gaya hai
moD lekin hai ab tak wahin ka wahin
dekhta hun to
aage bhi raste mein
bas moD hi moD hain
peD koi nahin
raston mein mujhe yun to mil jate hain mehrban
phir bhi har moD par
puchhta hai ye dil
wo jo ek chhanw thi
kho gai hai kahan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.