barhaman
mausam badlā
barkhā aa.ī
aa.ī rut mastānī
sājan tum nahīñ aa.e
bheje laakh sandese tum ko likh likh batiyāñ haarī
kis se dil kī baat kahūñ maiñ ab birhā kī maarī
niir bhare nainoñ se sājan dekhūñ raah tuhārī
barkhā ke sāñche meñ Dhal ga.ī har ik shaam suhānī
sājan tum nahīñ aa.e
tum kyā jaano guzar rahī haiñ kaise ye barsāteñ
ulajh rahī haiñ man meñ jaane kitnī prem kī bāteñ
suune suune din haiñ mere ujḌī ujḌī rāteñ
sulag uThī hai tum bin ab to merī shoḳh javānī
sājan tum nahīñ aa.e
sun sun kar malhār rasīle aañkh mirī bhar aa.ī
birhā ban kar terī yādoñ kī chunrī lahrā.ī
sonā chāhūñ niiñd na aa.e chheḌ kare purvā.ī
do papīhā yaad dilā.e ik ik baat purānī
sājan tum nahīñ aa.e
sakhiyoñ kā ab ik ik tā'na dil ke paar huā hai
tum kyā rūThe mujh se bairī ye sansār huā hai
is nagrī meñ ab merā jiinā dushvār huā hai
koī mujhe pāgal kahtā hai aur koī dīvānī
sājan tum nahīñ aa.e
mausam badla
barkha aai
aai rut mastani
sajan tum nahin aae
bheje lakh sandese tum ko likh likh batiyan haari
kis se dil ki baat kahun main ab birha ki mari
nir bhare nainon se sajan dekhun rah tuhaari
barkha ke sanche mein Dhal gai har ek sham suhani
sajan tum nahin aae
tum kya jaano guzar rahi hain kaise ye barsaten
ulajh rahi hain man mein jaane kitni prem ki baaten
sune sune din hain mere ujDi ujDi raaten
sulag uThi hai tum bin ab to meri shoKH jawani
sajan tum nahin aae
sun sun kar malhaar rasile aankh meri bhar aai
birha ban kar teri yaadon ki chunri lahrai
sona chahun nind na aae chheD kare purwai
do papiha yaad dilae ek ek baat purani
sajan tum nahin aae
sakhiyon ka ab ek ek ta'na dil ke par hua hai
tum kya ruThe mujh se bairi ye sansar hua hai
is nagri mein ab mera jina dushwar hua hai
koi mujhe pagal kahta hai aur koi diwani
sajan tum nahin aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.