barsat
barkhā aa.ī bādal aa.e
oḌhe kaale kambal aa.e
ThanDī ThanDī aa.iiñ havā.eñ
kaalī kaalī chhā.īñ ghaTā.eñ
garmī ne Derā uThvāyā
dhuup pe saaya ġhālib aayā
phailā din ke saath dhuñdalkā
bhūrā bhūrā halkā halkā
badlī aa.ī shor machātī
bhīge bhīge naġhme gaatī
bādal se amrit jal barsā
amrit jal kyā komal barsā
ho ga.ī zinda murda khetī
dhul ga.e zarre chamkī retī
dariyā aur samundar ubhre
taaza maujeñ le kar ubhre
tāzgiyāñ haiñ jangal jangal
har jangal meñ hai ab mangal
ye rut yā barsāt kā mausam
hai goyā jazbāt kā mausam
barkha aai baadal aae
oDhe kale kambal aae
ThanDi ThanDi aain hawaen
kali kali chhain ghaTaen
garmi ne Dera uThwaya
dhup pe saya ghaalib aaya
phaila din ke sath dhundalka
bhura bhura halka halka
badli aai shor machati
bhige bhige naghme gati
baadal se amrit jal barsa
amrit jal kya komal barsa
ho gai zinda murda kheti
dhul gae zarre chamki reti
dariya aur samundar ubhre
taza maujen le kar ubhre
tazgiyan hain jangal jangal
har jangal mein hai ab mangal
ye rut ya barsat ka mausam
hai goya jazbaat ka mausam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.