barsat
barsāt kā hai mausam sāmāñ haiñ zindagī ke
kaliyāñ chaTak rahī haiñ manzar haiñ dilkashī ke
jañgal hare bhare haiñ gul bhī mahak rahe haiñ
haiñ mast sab papīhe pī kī sharāb pī ke
charvāhā gā rahā hai bansī bajā rahā hai
sabze pe lauTtā hai aalam meñ ik ḳhushī ke
bādal ghire hue haiñ raqsāñ haiñ bijliyāñ bhī
chhiḌ jaa.eñ sāz-e-ishrat hoñ daur mai-kashī ke
sargarm-e-nāz koī vaqf-e-niyāz koī
haiñ josh par umañgeñ charche haiñ āshiqī ke
barsat ka hai mausam saman hain zindagi ke
kaliyan chaTak rahi hain manzar hain dilkashi ke
jangal hare bhare hain gul bhi mahak rahe hain
hain mast sab papihe pi ki sharab pi ke
charwaha ga raha hai bansi baja raha hai
sabze pe lauTta hai aalam mein ek KHushi ke
baadal ghire hue hain raqsan hain bijliyan bhi
chhiD jaen saz-e-ishrat hon daur mai-kashi ke
sargarm-e-naz koi waqf-e-niyaz koi
hain josh par umangen charche hain aashiqi ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.