barsat
chhā ga.ī phir āsmāñ par uudī uudī sī ghaTā
raqs kartī haiñ havā.eñ muskurātī hai fazā
har taraf bajne lagīñ barsāt kī shahnā.iyāñ
husn bazm-e-nāz meñ lene lagā añgḌā.iyāñ
dard meñ Duubī papīhe kī sadā aane lagī
bhīgī bhīgī mausam-e-gul kī havā aane lagī
haa.e kis andāz se mutrib ne chheḌā hai sitār
hañs rahī hai mast ho kar sabz khetoñ kī bahār
sabz shāḳhoñ kī ragoñ meñ hai javānī be-qarār
naddiyāñ umDī huī haiñ gā rahe haiñ ābshār
dosh par gāgar uThā.e jā rahī haiñ deviyāñ
jin kī har jumbish se ik sail-e-tarannum hai ravāñ
vo javānī dam-ba-dam letī huī añgḌā.iyāñ
halkī halkī vo phuvāreñ badliyoñ kā vo dhuāñ
aam ke bāġhoñ meñ vo kāfir papīhoñ kī pukār
vo havāoñ kī latāfat vo fazā.eñ mushk-bār
nāznīnoñ ke vo jamghaT aur vo sahrā kā samāñ
dosh par bikhrī huī zulfeñ basantī sāḌiyāñ
satah par maujoñ ke halkoroñ kā vo rangīñ samāñ
vo havā.eñ pech-o-ḳham khātī huī vo naddiyāñ
dahr kī afsurda nabzoñ meñ harārat aa ga.ī
phuul meñ ḳhushbū havāoñ meñ latāfat aa ga.ī
būñdiyoñ par rāgnī kā devtā gaane lagā
sabza lahkā phuul mahke rang sā chhāne lagā
chha gai phir aasman par udi udi si ghaTa
raqs karti hain hawaen muskuraati hai faza
har taraf bajne lagin barsat ki shahnaiyan
husn bazm-e-naz mein lene laga angDaiyan
dard mein Dubi papihe ki sada aane lagi
bhigi bhigi mausam-e-gul ki hawa aane lagi
hae kis andaz se mutrib ne chheDa hai sitar
hans rahi hai mast ho kar sabz kheton ki bahaar
sabz shaKHon ki ragon mein hai jawani be-qarar
naddiyan umDi hui hain ga rahe hain aabshaar
dosh par gagar uThae ja rahi hain dewiyan
jin ki har jumbish se ek sail-e-tarannum hai rawan
wo jawani dam-ba-dam leti hui angDaiyan
halki halki wo phuwaren badliyon ka wo dhuan
aam ke baghon mein wo kafir papihon ki pukar
wo hawaon ki latafat wo fazaen mushk-bar
nazninon ke wo jamghaT aur wo sahra ka saman
dosh par bikhri hui zulfen basanti saDiyan
satah par maujon ke halkoron ka wo rangin saman
wo hawaen pech-o-KHam khati hui wo naddiyan
dahr ki afsurda nabzon mein hararat aa gai
phul mein KHushbu hawaon mein latafat aa gai
bundiyon par ragni ka dewta gane laga
sabza lahka phul mahke rang sa chhane laga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.