barsat
garmī kī jab chhuTTī huī
barsāt kī rut aa ga.ī
bādal garajte aa ga.e
sūraj miyāñ ghabrā ga.e
bādal ka.ī din tak rahe
sūraj miyāñ chhupte phire
bārish kī bachcho jhaḌ lagī
to phir ka.ī din tak rahī
ghar meñ hameñ rahnā paḌā
saḌkoñ pe thā paanī khaḌā
bārish rukī to uTh ga.e
schōl jaane ke liye
ham pā.eñche ūñche kiye
aur haath meñ chhatrī liye
baby ko le kar chal diye
schōl paḌhne ke liye
garmi ki jab chhuTTi hui
barsat ki rut aa gai
baadal garajte aa gae
suraj miyan ghabra gae
baadal kai din tak rahe
suraj miyan chhupte phire
barish ki bachcho jhaD lagi
to phir kai din tak rahi
ghar mein hamein rahna paDa
saDkon pe tha pani khaDa
barish ruki to uTh gae
school jaane ke liye
hum paenche unche kiye
aur hath mein chhatri liye
baby ko le kar chal diye
school paDhne ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.