barsat ka din
Interesting Fact
1968
dhuup ke bachche
shor machāte
toffē khāte
jab apne schōl se nikle
to uupar ik shor machā
nīche laal hare piile ġhubāre
phuuT ga.e
huā bhī
sarsar sarsar
paanī barsā
paanī āñkhoñ ke bādal se jā kar lipaT gayā
to jhuuT gayā barsāt kā din
añdhiyāre
jab niiñd ke kachche galiyāroñ meñ
shāmeñ le kar simaT ga.e
paanī sub.h kī āñkhoñ ne barsāyā
paanī āñkhoñ ke bādal se jā kar lipaT gayā
to jhuuT gayā barsāt kā din
din phailā to badlī chhā.ī
ġhussa māthe ke jangal se utrā kapḌe badle
raat ke hāthoñ ko sahlāyā
din kī shāḳh se halkī apnī ek akelī barsātī ko
jhar-jhar jhar-jhar
phaaḌ diyā
barsātī miTTī se mil kar phuul banī
phuul ne apnī āñkhoñ se paanī barsāyā
to jhuuT gayā barsāt kā din
ai mālik
tū sub.h kī āñkheñ
dhuup ke bachche
raat ke hāthoñ kī sahlāhaT
aur shāmīlī niiñd na de
de de ik barsāt kā din
antim antim
ik antim paanī kī chhāyā
ek anant barsāt kā din
dhup ke bachche
shor machate
toffee khate
jab apne school se nikle
to upar ek shor macha
niche lal hare pile ghubare
phuT gae
hua bhi
sarsar sarsar
pani barsa
pani aankhon ke baadal se ja kar lipaT gaya
to jhuT gaya barsat ka din
andhiyare
jab nind ke kachche galiyaron mein
shamen le kar simaT gae
pani subh ki aankhon ne barsaya
pani aankhon ke baadal se ja kar lipaT gaya
to jhuT gaya barsat ka din
din phaila to badli chhai
ghussa mathe ke jangal se utra kapDe badle
raat ke hathon ko sahlaya
din ki shaKH se halki apni ek akeli barsati ko
jhar-jhar jhar-jhar
phaD diya
barsati miTTi se mil kar phul bani
phul ne apni aankhon se pani barsaya
to jhuT gaya barsat ka din
ai malik
tu subh ki aankhen
dhup ke bachche
raat ke hathon ki sahlahaT
aur shamili nind na de
de de ek barsat ka din
antim antim
ek antim pani ki chhaya
ek anant barsat ka din
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.