barsat ka mausam
ai hūr-e-jināñ jān-e-chaman rūh-e-nazāra
ai paikar-e-anvār-o-dil-āvez dil-ārā
vo yaad hai duzdīda nigāhoñ kā ishāra
qurbāñ terī āñkhoñ pe samarqand-o-buḳhārā
kaTtā nahīñ pardes meñ barsāt kā mausam
ai nāzish-e-kaunain sitam-kesh-o-sitam-gār
ai ḳhūnr-e-rag-e-abr-e-ravāñ jān-e-chaman-zār
ai sāz-e-mohabbat kī machaltī huī jhankār
merā koī sāthī hai na hamdam hai na ġham-ḳhvār
kaTtā nahīñ pardes meñ barsāt kā mausam
ye zulmat-e-shab aur ye garajte hue bādal
zulmat meñ mahakte hue taḳh.īl ke āñchal
taare bhī haiñ āñkhoñ meñ lagā.e hue kājal
ik dil hai faqat paas ki bujhtī huī mash.al
kaTtā nahīñ pardes meñ barsāt kā mausam
yaad aatī haiñ rah rah ke mujhe terī nigāheñ
vo reshmī āñchal meñ jhalaktī huī bāñheñ
tujh bin to haiñ vīrān chaman-zār kī rāheñ
ye sard havā.eñ haiñ ki dhunkī huī aaheñ
kaTtā nahīñ pardes meñ barsāt kā mausam
maiñ ne to ye chāhā ki tujhe dil se bhulā duuñ
siine se tire naqsh-e-mohabbat ko miTā duuñ
lekin ye batā dil ko kahāñ jā ke chhupā duuñ
kis tarah dahakte hue sho.ale ko bujhā duuñ
kaTtā nahīñ pardes meñ barsāt kā mausam
maiñ apnī tamannāoñ se jazbāt se majbūr
aur tū hai udhar rasm-o-rivāyāt se majbūr
insān hai farsūda ḳhayālāt se majbūr
bulbul hai yahāñ gul kī mulāqāt se majbūr
kaTtā nahīñ pardes meñ barsāt kā mausam
ai hur-e-jinan jaan-e-chaman ruh-e-nazara
ai paikar-e-anwar-o-dil-awez dil-ara
wo yaad hai duzdida nigahon ka ishaara
qurban teri aankhon pe samarqand-o-buKHara
kaTta nahin pardes mein barsat ka mausam
ai nazish-e-kaunain sitam-kesh-o-sitam-gar
ai KHunr-e-rag-e-abr-e-rawan jaan-e-chaman-zar
ai saz-e-mohabbat ki machalti hui jhankar
mera koi sathi hai na hamdam hai na gham-KHwar
kaTta nahin pardes mein barsat ka mausam
ye zulmat-e-shab aur ye garajte hue baadal
zulmat mein mahakte hue taKHil ke aanchal
tare bhi hain aankhon mein lagae hue kajal
ek dil hai faqat pas ki bujhti hui mashal
kaTta nahin pardes mein barsat ka mausam
yaad aati hain rah rah ke mujhe teri nigahen
wo reshmi aanchal mein jhalakti hui banhen
tujh bin to hain viran chaman-zar ki rahen
ye sard hawaen hain ki dhunki hui aahen
kaTta nahin pardes mein barsat ka mausam
main ne to ye chaha ki tujhe dil se bhula dun
sine se tere naqsh-e-mohabbat ko miTa dun
lekin ye bata dil ko kahan ja ke chhupa dun
kis tarah dahakte hue shoale ko bujha dun
kaTta nahin pardes mein barsat ka mausam
main apni tamannaon se jazbaat se majbur
aur tu hai udhar rasm-o-riwayat se majbur
insan hai farsuda KHayalat se majbur
bulbul hai yahan gul ki mulaqat se majbur
kaTta nahin pardes mein barsat ka mausam
- Naye Tarane
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.