barsat ki raat
bhīgī harī oḌhniyāñ oḌhe
juuhī chamelī
champā kāmanī
ras-bharī havāoñ ke
thapeḌoñ se
kapkapātī haiñ
ghup añdhere meñ
jugnuoñ kī be-āvāz būñdeñ
Tapaktī haiñ
byākul raat
ḳhāmoshiyoñ ke sangīt meñ
Duub ga.ī hai
mahaktī sāñsoñ ke
nam jhoñke
dabe paañv
bhītar aa kar
band āñkhoñ ko
halke se chuum lete haiñ
lekin vo lajātī muskurātī kalī
idhar kā rasta bhuul ga.ī
yā añdhiyāre kī chādar taan kar
vahīñ kahīñ bāhar
baaġh meñ so ga.ī
bhigi hari oDhniyan oDhe
juhi chameli
champa kaamani
ras-bhari hawaon ke
thapeDon se
kapkapati hain
ghup andhere mein
jugnuon ki be-awaz bunden
Tapakti hain
byakul raat
KHamoshiyon ke sangit mein
Dub gai hai
mahakti sanson ke
nam jhonke
dabe panw
bhitar aa kar
band aankhon ko
halke se chum lete hain
lekin wo lajati muskuraati kali
idhar ka rasta bhul gai
ya andhiyare ki chadar tan kar
wahin kahin bahar
bagh mein so gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.