barso ram dhaDake se
barso raam dhaḌāke se
buḌhiyā mar ga.ī faaqe se
kal-jug meñ bhī martī hai sat-jug meñ bhī martī thī
ye buḌhiyā is duniyā meñ sadā hī faaqe kartī thī
jiinā us ko raas na thā
paisā us ke paas na thā
us ke ghar ko dekh ke laxmī muḌ jaatī thī naake se
barso raam dhaḌāke se
jhūTe TukḌe khā ke buḌhiyā taptā paanī piitī thī
martī hai to mar jaane do pahle bhī kab jiitī thī
jai ho paise vāloñ kī
gehūñ ke dallāloñ kī
un kā had se baḌhā munāfe.a kuchh hī kam hai Daake se
barso raam dhaḌāke se
barso ram dhaDake se
buDhiya mar gai faqe se
kal-jug mein bhi marti hai sat-jug mein bhi marti thi
ye buDhiya is duniya mein sada hi faqe karti thi
jina us ko ras na tha
paisa us ke pas na tha
us ke ghar ko dekh ke laxmi muD jati thi nake se
barso ram dhaDake se
jhuTe TukDe kha ke buDhiya tapta pani piti thi
marti hai to mar jaane do pahle bhi kab jiti thi
jai ho paise walon ki
gehun ke dallalon ki
un ka had se baDha munafea kuchh hi kam hai Dake se
barso ram dhaDake se
- Book : Kulliyat-e-Sahir Ludhianvi (Pg. 474)
- Author : SAHIR LUDHIANVI
- Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.