bas ana ko bahaal rakhna hai
apne apne hī ḳhol meñ ham tum
kaise ḳhud ko chhupā ke baiTh ga.e
ham ko apnī anā kā paas rahā
aur saare ḳhayāl bhuul ga.e
ḳhvāb jo ham ne saath dekhe the
saare vo kaise taar taar hue
saare va.ade vafā ke TuuT ga.e
aur armān sab hī ḳhaak hue
dekhne meñ to maiñ shagufta huuñ
tum bhī shādāb sab ko lagte ho
ik haqīqat magar maiñ jāntī huuñ
ye ba-zāhir nazar jo aatā hai
aa.ina vo hamāre dil kā nahīñ
ham to ik dūsre kī furqat meñ
zinda rahnā muhāl kahte the
aks vo bhī hamārī zaat kā thā
aks ye bhī hamārī zaat kā hai
hai udāsī to chāroñ-samt magar
zeb-tan kar ke ḳhol ḳhushiyoñ kā
ham ko apnā bharam bhī rakhnā hai
chāhe ġham ke pahāḌ jitne gireñ
bas anā ko bahāl rakhnā hai
apne apne hi KHol mein hum tum
kaise KHud ko chhupa ke baiTh gae
hum ko apni ana ka pas raha
aur sare KHayal bhul gae
KHwab jo hum ne sath dekhe the
sare wo kaise tar tar hue
sare wade wafa ke TuT gae
aur arman sab hi KHak hue
dekhne mein to main shagufta hun
tum bhi shadab sab ko lagte ho
ek haqiqat magar main jaanti hun
ye ba-zahir nazar jo aata hai
aaina wo hamare dil ka nahin
hum to ek dusre ki furqat mein
zinda rahna muhaal kahte the
aks wo bhi hamari zat ka tha
aks ye bhi hamari zat ka hai
hai udasi to chaaron-samt magar
zeb-tan kar ke KHol KHushiyon ka
hum ko apna bharam bhi rakhna hai
chahe gham ke pahaD jitne giren
bas ana ko bahaal rakhna hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.