bas itna sochta rahta hun
ik pyārā bachcha maiñ bhī huuñ
āñkhoñ kā taarā maiñ bhī huuñ
mire ham-jolī aur ham-umr
jab ilm kī raah par chalte haiñ
to aise pyāre lamhoñ meñ
kyoñ mere chhoTe hāthoñ meñ
koī varaq nahīñ koī lafz nahīñ
auzār haiñ bas sab lohe ke
kyoñ mere kapḌe gande haiñ
kyoñ barsoñ se ye aise haiñ
maiñ ḳhud bhī to ik phuul huuñ
naañ
phir phūloñ ko kyoñ bechtā huuñ
maiñ sāhab ke na.e bōToñ par
kyoñ sub.h polish phertā huuñ
gar aisā karnā na chāhūñ
kyoñ mujh par haath phir uThtā hai
kyoñ baaġh kā har ik kāñTā hī
mere pairoñ meñ chubhtā hai
phūloñ jaisā to maiñ bhī huuñ
tāroñ jaisā to maiñ bhī huuñ
ai rab terī is dhartī par
chandā jaisā to maiñ bhī huuñ
bas itnā pūchhnā chāhtā huuñ
bas itnā sochtā rahtā huuñ
gar sab bachchoñ jaisā huuñ maiñ
to bachcha kyoñ nahīñ lagtā huuñ
ek pyara bachcha main bhi hun
aankhon ka tara main bhi hun
mere ham-joli aur ham-umr
jab ilm ki rah par chalte hain
to aise pyare lamhon mein
kyon mere chhoTe hathon mein
koi waraq nahin koi lafz nahin
auzar hain bas sab lohe ke
kyon mere kapDe gande hain
kyon barson se ye aise hain
main KHud bhi to ek phul hun
nan
phir phulon ko kyon bechta hun
main sahab ke nae booTon par
kyon subh polish pherta hun
gar aisa karna na chahun
kyon mujh par hath phir uThta hai
kyon bagh ka har ek kanTa hi
mere pairon mein chubhta hai
phulon jaisa to main bhi hun
taron jaisa to main bhi hun
ai rab teri is dharti par
chanda jaisa to main bhi hun
bas itna puchhna chahta hun
bas itna sochta rahta hun
gar sab bachchon jaisa hun main
to bachcha kyon nahin lagta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.