bas lauT aana
sachchā.iyāñ apne vaqt meñ
kabhī jī nahīñ pātīñ
sau āñkhoñ ne hamesha
lamhoñ se dhoke khaa.e
tumheñ kaise ruḳhsat karūñ
ki ye baat imām-zāmin aur duā se
bahut aage bahut aage hai
hatheliyoñ ke gardāb phisalte phisalte
bīnā.ī kī dahlīz pe aa baiThe haiñ
uñgliyāñ kānoñ ko kahāñ tak dastak se duur rakheñgī
duāoñ kī chhatrī meñ aksar
sūrāḳh rah jaate haiñ
maiñ tumheñ kaun sī chādar tohfa duuñ
ki āj-kal jaulāñ hai
izzat se zyāda kāġhaz kamāne ke chakkar meñ haiñ
maiñ ne muTThī khol kar dekhī
to sab lakīroñ se zyāda bāñjh niklīñ
mere paas sabz nahīñ haiñ
ki zard pattoñ kī vus.at ne ḳhaak se niil tak
sarsoñ kā mausam kā shat kar rakhā hai
mere paas kuchh bhī nahīñ
bas lauT aanā
ki tumhāre aane tak
merī āñkheñ tīrgī kī salāḳhoñ meñ qaid raheñgī
sachchaiyan apne waqt mein
kabhi ji nahin patin
sau aankhon ne hamesha
lamhon se dhoke khae
tumhein kaise ruKHsat karun
ki ye baat imam-zamin aur dua se
bahut aage bahut aage hai
hatheliyon ke gardab phisalte phisalte
binai ki dahliz pe aa baiThe hain
ungliyan kanon ko kahan tak dastak se dur rakhengi
duaon ki chhatri mein aksar
suraKH rah jate hain
main tumhein kaun si chadar tohfa dun
ki aaj-kal jaulan hai
izzat se zyaada kaghaz kamane ke chakkar mein hain
main ne muTThi khol kar dekhi
to sab lakiron se zyaada banjh niklin
mere pas sabz nahin hain
ki zard patton ki wusat ne KHak se nil tak
sarson ka mausam ka shat kar rakha hai
mere pas kuchh bhi nahin
bas lauT aana
ki tumhaare aane tak
meri aankhen tirgi ki salaKHon mein qaid rahengi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.