bas tam ruThna nahin
tum hamesha
ek hī savāl
pūchhtī ho ki
mujhe tum se kitnī mohabbat hai
aur maiñ muskurāte hue
tumhārā haath thaam letā huuñ
pata hai
pahle maiñ sochtā thā ki
log mar kyoñ jaate haiñ
phir kisī ne batāyā ki
jab zindagī ruuTh jaatī hai
to log mar jaate haiñ
log zindagī se kitnī mohabbat karte haiñ na
ḳhair chhoḌo na
bas tum rūThnā nahīñ
tum hamesha
ek hi sawal
puchhti ho ki
mujhe tum se kitni mohabbat hai
aur main muskuraate hue
tumhaara hath tham leta hun
pata hai
pahle main sochta tha ki
log mar kyon jate hain
phir kisi ne bataya ki
jab zindagi ruTh jati hai
to log mar jate hain
log zindagi se kitni mohabbat karte hain na
KHair chhoDo na
bas tum ruThna nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.