bas ye bala-e-ishq
yā to ḳhudā hasīnoñ ko kuchh ḳhatt-o-ḳhāl de
varna unheñ ḳhudā.ī se bāhar nikāl de
yā-rab mujhe na jaah hukūmat na maal de
bas ye balā-e-ishq mire sar se Taal de
piipe meñ Dhaal de ki surāhī meñ Dhaal de
saaqī sharāb piine kī hasrat nikāl de
samjhā.e kaun hazrat-e-nāseh ko rāz-e-ishq
kis tarah un ke dil meñ koī dil ko Daal de
jamhūr-e-ishq hai to musāvāt chāhiye
us ko majāl de to hameñ bhī majāl de
saaqī ye daam dene meñ gar radd-o-kad kareñ
baḌh kar janāb-e-shaiḳh kī pagḌī uchhāl de
soz-e-firāq de to chukā ab jhalak dikhā
ye kyā kahā raqīb se maiñ dostī karūñ
ye saañp āstīn meñ merī bhī paal de
aise to ban sakoge na tum markaz-e-nigāh
allāh saath husn ke kuchh chāl-Dhāl de
be-izn us galī meñ jo pahuñchā vo piT gayā
allāh kuchh raqīb ko fikr-e-ma.āl de
mujh ko tumhāre ishq ne kundan banā diyā
aisā na ho ki ab ye khaTā.ī meñ Daal de
iz.hār-e-ishq us se maiñ kartā nahīñ 'zarīf'
Dar hai chapat lagā ke na ghar se nikāl de
ya to KHuda hasinon ko kuchh KHatt-o-KHal de
warna unhen KHudai se bahar nikal de
ya-rab mujhe na jah hukumat na mal de
bas ye bala-e-ishq mere sar se Tal de
pipe mein Dhaal de ki surahi mein Dhaal de
saqi sharab pine ki hasrat nikal de
samjhae kaun hazrat-e-naseh ko raaz-e-ishq
kis tarah un ke dil mein koi dil ko Dal de
jamhur-e-ishq hai to musawat chahiye
us ko majal de to hamein bhi majal de
saqi ye dam dene mein gar radd-o-kad karen
baDh kar janab-e-shaiKH ki pagDi uchhaal de
soz-e-firaq de to chuka ab jhalak dikha
ye kya kaha raqib se main dosti karun
ye sanp aastin mein meri bhi pal de
aise to ban sakoge na tum markaz-e-nigah
allah sath husn ke kuchh chaal-Dhaal de
be-izn us gali mein jo pahuncha wo piT gaya
allah kuchh raqib ko fikr-e-maal de
mujh ko tumhaare ishq ne kundan bana diya
aisa na ho ki ab ye khaTai mein Dal de
izhaar-e-ishq us se main karta nahin 'zarif'
Dar hai chapat laga ke na ghar se nikal de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.