bas yunhi jite raho
bas yūñhī jiite raho
kuchh na kaho
sub.h jab so ke uTho
ghar ke afrād kī gintī kar lo
Taañg par Taañg rakhe roz kā aḳhbār paḌho
us jagah qaht girā
jañg vahāñ par barsī
kitne mahfūz ho tum shukr karo
radio khol ke filmoñ ke na.e giit suno
ghar se jab niklo to
shaam tak ke liye hoñToñ meñ tabassum sī lo
donoñ hāthoñ meñ musāfe bhar lo
muñh meñ kuchh khokhle be-ma.anī se jumle rakh lo
muḳhtalif hāthoñ meñ sikkoñ kī tarah ghiste raho
kuchh na kaho
ujlī poshāk
samājī izzat
aur kyā chāhiye jiine ke liye
rose mil jaatī hai piine ke liye
bas yūñhī jiite raho
kuchh na kaho
bas yunhi jite raho
kuchh na kaho
subh jab so ke uTho
ghar ke afrad ki ginti kar lo
Tang par Tang rakhe roz ka aKHbar paDho
us jagah qaht gira
jang wahan par barsi
kitne mahfuz ho tum shukr karo
radio khol ke filmon ke nae git suno
ghar se jab niklo to
sham tak ke liye honTon mein tabassum si lo
donon hathon mein musafe bhar lo
munh mein kuchh khokhle be-mani se jumle rakh lo
muKHtalif hathon mein sikkon ki tarah ghiste raho
kuchh na kaho
ujli poshak
samaji izzat
aur kya chahiye jine ke liye
rose mil jati hai pine ke liye
bas yunhi jite raho
kuchh na kaho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.