basarat
tumhāre lams kī ḳhushbū ne sandal kar diyā hai
ki maiñ pāgal thī tum ne aur pāgal kar diyā hai
tamāzat hijr kī phir se badan jhulsā rahī thī
tumhārī yaad ko phir ham ne bādal kar diyā hai
hamāre vāste āsāñ nahīñ thā phir bhī ham ne
tumheñ lipTā ke tum ko apnā āñchal kar diyā hai
muqaddar kī siyāhī aaj kuchh to kaam aa.ī
sajā ke aañkh meñ is ko bhī kājal kar diyā hai
maiñ sahrā kī tarah banjar thī lekin ai mirī jaañ
tumhāre pyaar kī bārish ne jal-thal kar diyā hai
yahāñ ik hañstā-bastā shahrā hotā thā 'tabassum'
jise insān kī vahshat ne jangal kar diyā hai
tumhaare lams ki KHushbu ne sandal kar diya hai
ki main pagal thi tum ne aur pagal kar diya hai
tamazat hijr ki phir se badan jhulsa rahi thi
tumhaari yaad ko phir hum ne baadal kar diya hai
hamare waste aasan nahin tha phir bhi hum ne
tumhein lipTa ke tum ko apna aanchal kar diya hai
muqaddar ki siyahi aaj kuchh to kaam aai
saja ke aankh mein is ko bhi kajal kar diya hai
main sahra ki tarah banjar thi lekin ai meri jaan
tumhaare pyar ki barish ne jal-thal kar diya hai
yahan ek hansta-basta shahra hota tha 'tabassum'
jise insan ki wahshat ne jangal kar diya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.