bashaarat ke kason mein
Interesting Fact
Sutoor- Delhi
abhī tak use DhūñDne ke liye
koī niklā nahīñ
vo jise bhiiḌ meñ kho diyā thā kahīñ
guñg alfāz kī lālTenoñ ko raushan kiye
apne apne darīchoñ meñ laTkā diyā
aur bijlī kaḌakte dhuāñ-dhār mausam meñ bhī
is tarah muntazir haiñ ki kuchh der tak
sarmadī sañkh bajte hī chāroñ taraf
apne hone kā iz.hār kartā huā
aap hī vo kahīñ se palaT aa.egā
abhi tak use DhunDne ke liye
koi nikla nahin
wo jise bhiD mein kho diya tha kahin
gung alfaz ki lalTenon ko raushan kiye
apne apne darichon mein laTka diya
aur bijli kaDakte dhuan-dhaar mausam mein bhi
is tarah muntazir hain ki kuchh der tak
sarmadi sankh bajte hi chaaron taraf
apne hone ka izhaar karta hua
aap hi wo kahin se palaT aaega
- Book : 1971 ki Muntakhab Shayri (Pg. 48)
- Author : Kumar Pashi, Prem Gopal Mittal
- Publication : P.K. Publishers, New Delhi (1972)
- Edition : 1972
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.