bashaarat pani ki
purānī baat hai
lekin ye anhonī sī lagtī hai
vo sab pyāse the
mīloñ kī masāfat se badan behāl thā un kā
jahāñ bhī jaate vo dariyāoñ ko sūkhā huā paate
ajab banjar zamīnoñ kā safar darpesh thā un ko
kahīñ paanī na miltā thā
khajūroñ ke daraḳhtoñ se unhoñ ne uuñT bāñdhe
aur thak kar so ga.e saare
unhoñ ne ḳhvāb meñ dekhā
khajūroñ ke daraḳhtoñ kī qatāreñ ḳhatm hotī haiñ jahāñ
paanī chamaktā hai
vo sab jaage
har ik jānib tahayyur se nazar Daalī
vo sab uTThe
mahāreñ thaam kar hāthoñ meñ ūñToñ kī
khujūroñ ke daraḳhtoñ kī qatāreñ ḳhatm hone meñ na aatī thiiñ
zabāneñ suukh kar kāñTā huī thiiñ
aur ūñToñ ke qadam aage na uThte the
vo sab chīḳhe
bashārat dene vaale ko sadā dī
aur zamīn ko pair se ragḌā
har ik jānib tahayyur se nazar Daalī
khujūroñ ke daraḳhtoñ kī qatāreñ ḳhatm thiiñ
paanī chamaktā thā!!
purani baat hai
lekin ye anhoni si lagti hai
wo sab pyase the
milon ki masafat se badan behaal tha un ka
jahan bhi jate wo dariyaon ko sukha hua pate
ajab banjar zaminon ka safar darpesh tha un ko
kahin pani na milta tha
khajuron ke daraKHton se unhon ne unT bandhe
aur thak kar so gae sare
unhon ne KHwab mein dekha
khajuron ke daraKHton ki qataren KHatm hoti hain jahan
pani chamakta hai
wo sab jage
har ek jaanib tahayyur se nazar Dali
wo sab uTThe
mahaaren tham kar hathon mein unTon ki
khujuron ke daraKHton ki qataren KHatm hone mein na aati thin
zabanen sukh kar kanTa hui thin
aur unTon ke qadam aage na uThte the
wo sab chiKHe
bashaarat dene wale ko sada di
aur zamin ko pair se ragDa
har ek jaanib tahayyur se nazar Dali
khujuron ke daraKHton ki qataren KHatm thin
pani chamakta tha!!
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.