basta Khaali kar jati hain
ghoḌe kī gardan kī
safed ayaal sī maujeñ
apne tez nukīle nāḳhun
khabo rahī haiñ
chāval ke dānoñ sī ret ke siine meñ
safed jhaag ugaltī maujeñ
khīñch ke le aatī haiñ kabhī apne baste meñ
kattha.ī bhūrī, niilī yādeñ
aur mire dil ke sāhil par
basta ḳhālī kar jaatī haiñ
ghoDe ki gardan ki
safed ayal si maujen
apne tez nukile naKHun
khabo rahi hain
chawal ke danon si ret ke sine mein
safed jhag ugalti maujen
khinch ke le aati hain kabhi apne baste mein
katthai bhuri, nili yaaden
aur mere dil ke sahil par
basta KHali kar jati hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.