baste mein bachpan
bhuul gayā thā bachpan ko maiñ
apnī kitāboñ ke safhoñ ke andar shāyad
ik kāġhaz ke purze ko tah kar ke jaise
rakh dete haiñ
ab lauTā huuñ barsoñ baa'd to yuuñ lagtā hai
pagDanDī jo lañgDā lañgDā kar chaltī thī
lekin jis kī muḌī-tuḌī uñglī thāme maiñ
rozāna schōl ko jaate
lauT ke aate
sīdhā chalnā siikh gayā thā
ab bhī vahīñ hai
galī vahī hai
nukkaḌ par ab bhī ik būḌhā
gaaḌe maile kapḌe kī jholī phailā.e
chehre kī jhurriyoñ meñ chhupī āñkhoñ se
har aane jaane vaale ko taktā
ik dūsre ke mil jaane kī aas lagā.e
din bhar yuñhī baiThā rahegā
taktā rahegā
pagDanDī bhī galī bhī aur būḌhā bhik-mangā
sab mere dekhe-bhāle haiñ lekin mujh ko
kyoñ lagtā hai jaise in barsoñ meñ sab kuchh badal gayā hai
vo jo apne rā'sha-zada hāthoñ ko
mere sar par rakh kar mujh ko du'ā.eñ dete thakte nahīñ the
merī balā.eñ le kar mujh ko ek nayā jīvan dete the
vo saare to ab duniyā ko chhoḌ chuke haiñ
baiThak aur chaupāl sabhī chup-chāp paḌe haiñ
uuñgh rahe haiñ
gaañv ke bāhar Dhīlā-Dhālā
aadhā soyā aadhā jaagā
chauk jo ik suunā rasta thā
ab to vahāñ bāzār sajā hai
bhiiḌ lagī hai
shor-o-ġhul paḌā hai
gaañv shāyad qasba bante bante ruk kar
ik pal ke vaqfe meñ jaise Thahar gayā hai
us gaañv ko apnā kahne meñ ab
mujh ko kuchh sankoch sā hotā to hai lekin
maiñ gar apnā basta khol ke
khoyā bachpan DhūñDh nikālūñ
lañgDātī pagDanDī kī uñglī thāme schōl ke ik do chakkar kāTūñ
to phir mumkin hai maiñ
us gaañv ko apnā kah pā.ūñgā
bhul gaya tha bachpan ko main
apni kitabon ke safhon ke andar shayad
ek kaghaz ke purze ko tah kar ke jaise
rakh dete hain
ab lauTa hun barson ba'd to yun lagta hai
pagDanDi jo langDa langDa kar chalti thi
lekin jis ki muDi-tuDi ungli thame main
rozana school ko jate
lauT ke aate
sidha chalna sikh gaya tha
ab bhi wahin hai
gali wahi hai
nukkaD par ab bhi ek buDha
gaDe maile kapDe ki jholi phailae
chehre ki jhurriyon mein chhupi aankhon se
har aane jaane wale ko takta
ek dusre ke mil jaane ki aas lagae
din bhar yunhi baiTha rahega
takta rahega
pagDanDi bhi gali bhi aur buDha bhik-manga
sab mere dekhe-bhaale hain lekin mujh ko
kyon lagta hai jaise in barson mein sab kuchh badal gaya hai
wo jo apne ra'sha-zada hathon ko
mere sar par rakh kar mujh ko du'aen dete thakte nahin the
meri balaen le kar mujh ko ek naya jiwan dete the
wo sare to ab duniya ko chhoD chuke hain
baiThak aur chaupal sabhi chup-chap paDe hain
ungh rahe hain
ganw ke bahar Dhila-Dhaala
aadha soya aadha jaga
chauk jo ek suna rasta tha
ab to wahan bazar saja hai
bhiD lagi hai
shor-o-ghul paDa hai
ganw shayad qasba bante bante ruk kar
ek pal ke waqfe mein jaise Thahar gaya hai
us ganw ko apna kahne mein ab
mujh ko kuchh sankoch sa hota to hai lekin
main gar apna basta khol ke
khoya bachpan DhunDh nikalun
langDati pagDanDi ki ungli thame school ke ek do chakkar kaTun
to phir mumkin hai main
us ganw ko apna kah paunga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.