basti
khulī āñkhoñ se duniyā kā tamāshā dekhte rahnā
zabāñ se kuchh nahīñ kahnā
tavāf-e-rā.egāñ kī ādateñ bhī ab purānī haiñ
yaqīñ-āsār ghaḌiyāñ bhī tasarruf meñ nahīñ mere
inhī āñkhoñ ke ik goshe meñ sat-range suhāne ḳhvāb rakkhe haiñ
kahīñ aadhī rifāqat kī kasak ne ghar banāyā hai
kahīñ takmīl kī ḳhvāhish
kisī sang-e-girāñ ke aks kī sūrat mujhe be-chain rakhtī hai
kahīñ ranj-o-alam ke zard lamhe kasmasā kar baiTh rahte haiñ
yahāñ ḳhūñ-bār manzar bhī ka.ī barsoñ se Thahre haiñ
ye āñkheñ haiñ ki koī ḳhānamāñ-barbād bastī hai
maiñ ab in kī hifāzat kar nahīñ saktī
so maiñ ne apnī āñkheñ aaj nīlāmī meñ rakh dī haiñ
khuli aankhon se duniya ka tamasha dekhte rahna
zaban se kuchh nahin kahna
tawaf-e-raegan ki aadaten bhi ab purani hain
yaqin-asar ghaDiyan bhi tasarruf mein nahin mere
inhi aankhon ke ek goshe mein sat-range suhane KHwab rakkhe hain
kahin aadhi rifaqat ki kasak ne ghar banaya hai
kahin takmil ki KHwahish
kisi sang-e-giran ke aks ki surat mujhe be-chain rakhti hai
kahin ranj-o-alam ke zard lamhe kasmasa kar baiTh rahte hain
yahan KHun-bar manzar bhi kai barson se Thahre hain
ye aankhen hain ki koi KHanaman-barbaad basti hai
main ab in ki hifazat kar nahin sakti
so main ne apni aankhen aaj nilami mein rakh di hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.