batao main kya hun
chamaktā huuñ har roz maiñ āsmāñ par
dikhātā huuñ duniyā ko yuuñ apne jauhar
nahīñ sāmne mere tikTā añdherā
mire dam se hotā hai jag meñ ujālā
ishāre se mere badalte haiñ mausam
guhar mujh pe apne luTātī hai shabnam
mire rab ne taufīq bhī ye mujhe dī
pakātā huuñ fasloñ ko ya.anī tumhārī
barastā hai paanī mirī koshishoñ se
hare jis se rahte haiñ peḌ aur paude
kalī mere aane se khiltī hai dil meñ
zamāne ko hai raushnī mujh se miltī
ġharaz ye samajh lo ki raushan diyā huuñ
mire pyāre bachcho batāo maiñ kyā huuñ
chamakta hun har roz main aasman par
dikhata hun duniya ko yun apne jauhar
nahin samne mere tikTa andhera
mere dam se hota hai jag mein ujala
ishaare se mere badalte hain mausam
guhar mujh pe apne luTati hai shabnam
mere rab ne taufiq bhi ye mujhe di
pakata hun faslon ko yani tumhaari
barasta hai pani meri koshishon se
hare jis se rahte hain peD aur paude
kali mere aane se khilti hai dil mein
zamane ko hai raushni mujh se milti
gharaz ye samajh lo ki raushan diya hun
mere pyare bachcho batao main kya hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.