batao to
aao bachcho bāteñ batāo
desh kā apne naqsha banāo
gangā nadī hai kahāñ se niklī
kahāñ kahāñ ye jā kar phailī
sangam kā vo kaun nagar hai
jis par sab kī lagī nazar hai
jhāñsī kyoñ mash.hūr huī hai
kis ke naam se vo chamkī hai
kaise amar punjab banā hai
kaun vahāñ mash.hūr huā hai
kahāñ hue gāñdhī jī paidā
kaam unhoñ ne kiye haiñ kyā kyā
kaun the 'shaukat' kaun the 'jauhar'
kyoñ hai in kā charchā ghar ghar
paidā hue 'ashfāq' kahāñ par
naam hai kyoñ har ek zabāñ par
desh kā apne kaun nagar hai
jo jannat se bhī baḌh kar hai
dillī ko ham kyā haiñ kahte
jahāñ safīr har mulk ke rahte
aao bachcho baaten batao
desh ka apne naqsha banao
ganga nadi hai kahan se nikli
kahan kahan ye ja kar phaili
sangam ka wo kaun nagar hai
jis par sab ki lagi nazar hai
jhansi kyon mashhur hui hai
kis ke nam se wo chamki hai
kaise amar punjab bana hai
kaun wahan mashhur hua hai
kahan hue gandhi ji paida
kaam unhon ne kiye hain kya kya
kaun the 'shaukat' kaun the 'jauhar'
kyon hai in ka charcha ghar ghar
paida hue 'ashfaq' kahan par
nam hai kyon har ek zaban par
desh ka apne kaun nagar hai
jo jannat se bhi baDh kar hai
dilli ko hum kya hain kahte
jahan safir har mulk ke rahte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.