bataKHen
ye pyārī pyārī battaḳheñ chaltī haiñ kis andāz se
jaise hasīñ shahzādiyāñ iThlā rahī hoñ naaz se
hai zard geñdoñ kī tarah hamrāh bachchoñ kā kuTumb
tum ruī ke gaale kaho gole kaheñ resham ke ham
haiñ rāniyāñ tālāb kī ye ujlī ujlī battaḳheñ
beloñ bharī jhīloñ kī haiñ un se hī qaa.em raunaqeñ
tan dūdhiyā chikne haiñ par siine tane akḌe haiñ sar
yā kashtiyāñ chāñdī kī haiñ shaffāf sat.h-e-āb par
marmar ke but haiñ tairte paanī ke uupar shaan se
pariyāñ ye shoḳh o shang sī aa.ī haiñ nūristān se
aisī safed-o-ḳhushnumā jaise khilaune barf ke
yā taḳhta-e-billor par raushan haiñ momī qumqume
choñcheñ sunahrī khol kar qeñ qeñ kī tāneñ ghol kar
lahroñ meñ lahrātī haiñ ye panjoñ ke chappū tol kar
nīlofaroñ kā kunj hai in kī masarrat kā jahāñ
nikhre hue sundar kañval dete haiñ in ko thapkiyāñ
ye pyari pyari battaKHen chalti hain kis andaz se
jaise hasin shahzadiyan iThla rahi hon naz se
hai zard gendon ki tarah hamrah bachchon ka kuTumb
tum rui ke gale kaho gole kahen resham ke hum
hain raniyan talab ki ye ujli ujli battaKHen
belon bhari jhilon ki hain un se hi qaem raunaqen
tan dudhiya chikne hain par sine tane akDe hain sar
ya kashtiyan chandi ki hain shaffaf sath-e-ab par
marmar ke but hain tairte pani ke upar shan se
pariyan ye shoKH o shang si aai hain nuristan se
aisi safed-o-KHushnuma jaise khilaune barf ke
ya taKHta-e-billor par raushan hain momi qumqume
chonchen sunahri khol kar qen qen ki tanen ghol kar
lahron mein lahraati hain ye panjon ke chappu tol kar
nilofaron ka kunj hai in ki masarrat ka jahan
nikhre hue sundar kanwal dete hain in ko thapkiyan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.