ghaḌī kī Tik-Tik bol rahī hai raat ke shāyad ek baje haiñ
baTla house kī ek galī meñ moTe kutte bhauñk rahe haiñ
ek khañDar meñ tez raushnī chāroñ jānib phail rahī hai
baġhal meñ leTā sāthī merā ab tak pub jī khel rahā hai
maiñ bhī ab tak jaag rahā huuñ āñkheñ mūñde soch rahā huuñ
nīche jaanā kaisā hogā bāhar kitnī sardī hogī
qutub sitāra kidhar ko hogā raat kī raanī kaisī hogī
sub.h kā sūraj kahāñ pe hogā abhī ḳhudā kyā kartā hogā
saḌak kināre sone vaale joḌe kaise sote hoñge
in ko machchhar kāTte hoñge
naum chomsky lawn meñ baiThe bachche āḳhir kaise hoñge
un ko kutte chāTte hoñge
kyā in bhūk-zada bachchoñ ke ḳhvāb meñ pariyāñ aatī hoñgī
kaTe-phaTe hāthoñ ke takiye ke nīche kuchh rakhtī hoñgī
kaisī bāteñ karte ho jī kyā pariyoñ kā kaam yahī hai
mahal sarā.e chhoḌ ke ab vo saḌak kināre ā.eñgī kyā
raat ke shāyad DeḌh baje haiñ baTla house kā chauk khulā hai
raat ko job se aane vaale raat meñ job ko jaane vaale
ek haath meñ liye chaa.e cup ek haath meñ chhoTī cigarette
saḌak paar kyoñ dekh rahe haiñ
biryānī ko DhūñDh rahe haiñ
un ke pīchhe saḌak kināre qabristān kā gate khulā hai
andar kutte ghuum rahe haiñ shāyad khānā DhūñDh rahe haiñ
bāhar cigarette aur coffē hai andar kaafī tārīkī hai
maiñ bhī andar jhāñk rahā huuñ haule haule soch rahā huuñ
qabristān ke andar meñ ye latrine kis ne banvāyā
kyoñ banvāyā
shāyad murde raat meñ uTh kar us ke andar jaate hoñge
hājat puurī karte hoñge
yā phir cigarette piine vaale laḌke andar jaate hoñge
ḳhākī vardī ghar vāloñ se chhup kar cigarette piite hoñge
ek kināre adab kī malika sab kuchh baiThī dekh rahī hai
aag kā dariyā chāñdnī begam shīshe kā ghar likhne vaalī
ainī aapā soch rahī hai
merā qaarī kyoñ aayā hai
shāyad is ko gautam shañkar tal.at ne uljhāyā hogā
yā phir us ko ḳhayābāñ kī champā ne paglāyā hogā
yā phir is pāgal laḌke ne shu.ūr kī rau ko chheḌā hogā
yā phir is ne aag kā dariyā aadhā paḌh kar chhoḌā hogā
falsafyāna bāteñ sun kar saare murde sochte hoñge
koī apnī ḳhvāb-gāh ko chhoḌ ke āḳhir kyoñ aayā hai
maiñ bhī baiThā soch rahā huuñ
itnī raat ko kyoñ aayā huuñ
ghaDi ki Tik-Tik bol rahi hai raat ke shayad ek baje hain
baTla house ki ek gali mein moTe kutte bhaunk rahe hain
ek khanDar mein tez raushni chaaron jaanib phail rahi hai
baghal mein leTa sathi mera ab tak pub ji khel raha hai
main bhi ab tak jag raha hun aankhen munde soch raha hun
niche jaana kaisa hoga bahar kitni sardi hogi
qutub sitara kidhar ko hoga raat ki rani kaisi hogi
subh ka suraj kahan pe hoga abhi KHuda kya karta hoga
saDak kinare sone wale joDe kaise sote honge
in ko machchhar kaTte honge
naum chomsky lawn mein baiThe bachche aaKHir kaise honge
un ko kutte chaTte honge
kya in bhuk-zada bachchon ke KHwab mein pariyan aati hongi
kaTe-phaTe hathon ke takiye ke niche kuchh rakhti hongi
kaisi baaten karte ho ji kya pariyon ka kaam yahi hai
mahal sarae chhoD ke ab wo saDak kinare aaengi kya
raat ke shayad DeDh baje hain baTla house ka chauk khula hai
raat ko job se aane wale raat mein job ko jaane wale
ek hath mein liye chae cup ek hath mein chhoTi cigarette
saDak par kyon dekh rahe hain
biryani ko DhunDh rahe hain
un ke pichhe saDak kinare qabristan ka gate khula hai
andar kutte ghum rahe hain shayad khana DhunDh rahe hain
bahar cigarette aur coffee hai andar kafi tariki hai
main bhi andar jhank raha hun haule haule soch raha hun
qabristan ke andar mein ye latrine kis ne banwaya
kyon banwaya
shayad murde raat mein uTh kar us ke andar jate honge
hajat puri karte honge
ya phir cigarette pine wale laDke andar jate honge
KHaki wardi ghar walon se chhup kar cigarette pite honge
ek kinare adab ki malika sab kuchh baiThi dekh rahi hai
aag ka dariya chandni begam shishe ka ghar likhne wali
aini aapa soch rahi hai
mera qari kyon aaya hai
shayad is ko gautam shankar talat ne uljhaya hoga
ya phir us ko KHayaban ki champa ne paglaya hoga
ya phir is pagal laDke ne shuur ki rau ko chheDa hoga
ya phir is ne aag ka dariya aadha paDh kar chhoDa hoga
falsafyana baaten sun kar sare murde sochte honge
koi apni KHwab-gah ko chhoD ke aaKHir kyon aaya hai
main bhi baiTha soch raha hun
itni raat ko kyon aaya hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.