baTwara
zamīñ kahtī hai maiñ ne pyaar sab ko pyaar se bāñTā
har ik baalī kā daana daana bhī satkār se bāñTā
mire nādān beToñ ne mire TukḌe kiye aise
qalam kī nok se bāñTā lahū kī dhaar se bāñTā
dhartī ne paalā hameñ pal pal kiyā javān
tāqat se paidā huā lobh aur abhīmān
lobh ne baTvārā kiyā Dol gayā īmān
TukḌoñ meñ dhartī baTī TukḌoñ meñ insān
āñgan āñgan aag to ghar ghar meñ shamshān
apnī dhartī maañ kā bhuul ga.e ehsān
zamin kahti hai main ne pyar sab ko pyar se banTa
har ek baali ka dana dana bhi satkar se banTa
mere nadan beTon ne mere TukDe kiye aise
qalam ki nok se banTa lahu ki dhaar se banTa
dharti ne pala hamein pal pal kiya jawan
taqat se paida hua lobh aur abhiman
lobh ne baTwara kiya Dol gaya iman
TukDon mein dharti baTi TukDon mein insan
aangan aangan aag to ghar ghar mein shamshan
apni dharti man ka bhul gae ehsan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.