baune Tillu miyan
naam hai merā Tillū ḳhaañ
chaltā phirtā maiñ huuñ baunā
bāzāroñ kā ek khilaunā
ġhussa merā koh-e-girāñ
naam hai merā
Tillū ḳhaañ
bachche dekheñ hañste jaa.eñ
duur se chheḌeñ paas na aa.eñ
kitnā huuñ maiñ shoḳh zabāñ
naam hai merā
Tillū ḳhaañ
sar par pagḌī haath meñ DañDā
kāñdhe par lahrā.e jhanDā
khīñche har dam teġh-o-sināñ
naam hai merā
Tillū ḳhaañ
nam hai mera Tillu KHan
chalta phirta main hun bauna
bazaron ka ek khilauna
ghussa mera koh-e-giran
nam hai mera
Tillu KHan
bachche dekhen hanste jaen
dur se chheDen pas na aaen
kitna hun main shoKH zaban
nam hai mera
Tillu KHan
sar par pagDi hath mein DanDa
kandhe par lahrae jhanDa
khinche har dam tegh-o-sinan
nam hai mera
Tillu KHan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.