bayaad-e-shamim kirhani
Interesting Fact
(October,1980)
uf ye pichhle pahar kā sannāTā
zehn par Dañk mārtā jaa.e
ek ik zaḳhm ubhārtā jaa.e
bhūlā-bisrā huā sā ik chehra
mere ashkoñ meñ Duub kar niklā
aur mere larazte hoñToñ par
saj gayā ek aah kī sūrat
aisī lambī karāh kī sūrat
chiir kar dil ko jo nikaltī hai
be-riyā.ī ḳhulūs lutf-o-karam
ḳhush-dilī mehrbāniyāñ shafqat
husn-e-shabnam-mizājiyāñ nik.hat
zindagī kā salīqa-e-musbat
āgahī aql ilmiyat tahzīb
dil-nashīñ dūr-bīnī dīda-varī
sheriyat kā shu.ūr ḳhush-nazarī
rañg aatā hai rañg jaatā hai
aur vo bhūlā-bisrā sā chehrā
choT dil par mire lagātā hai
baḌhtī jaatī hai zaḳhmoñ kī ta.adād
baḌhtā jaatā hai dard siine kā
hausla ab nahīñ hai jiine kā
yād-e-māzī azaab hai yārab
uf ye pichhle pahar ka sannaTa
zehn par Dank marta jae
ek ek zaKHm ubhaarta jae
bhula-bisra hua sa ek chehra
mere ashkon mein Dub kar nikla
aur mere larazte honTon par
saj gaya ek aah ki surat
aisi lambi karah ki surat
chir kar dil ko jo nikalti hai
be-riyai KHulus lutf-o-karam
KHush-dili mehrbaniyan shafqat
husn-e-shabnam-mizajiyan nikhat
zindagi ka saliqa-e-musbat
aagahi aql ilmiyat tahzib
dil-nashin dur-bini dida-wari
sheriyat ka shuur KHush-nazari
rang aata hai rang jata hai
aur wo bhula-bisra sa chehra
choT dil par mere lagata hai
baDhti jati hai zaKHmon ki tadad
baDhta jata hai dard sine ka
hausla ab nahin hai jine ka
yaad-e-mazi azab hai yarab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.