bayazen kho gai hain
bayāzeñ
jin meñ
an-dekhe parindoñ ke
pate likkhe
bayāzeñ!
jin meñ
ham ne phūloñ kī
sargoshiyāñ likkhīñ
pahāḌoñ ke rumūz aur
ābshāroñ kī zabāñ likkhī
bayāzeñ!
jin ke siine meñ
samundar aur sūraj kī adāvat ke the afsāne
parinde aur peḌoñ ke
raqam the
bāhamī rishte
hamāre irtiqā kī uljhaneñ
jin se munavvar thiiñ
bayāzeñ kho ga.ī haiñ
ab luġhat ham se pareshāñ hai
bayazen
jin mein
an-dekhe parindon ke
pate likkhe
bayazen!
jin mein
hum ne phulon ki
sargoshiyan likkhin
pahaDon ke rumuz aur
aabshaaron ki zaban likkhi
bayazen!
jin ke sine mein
samundar aur suraj ki adawat ke the afsane
parinde aur peDon ke
raqam the
bahami rishte
hamare irtiqa ki uljhanen
jin se munawwar thin
bayazen kho gai hain
ab lughat hum se pareshan hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.