wahima
zindagī ke aise dorāhe par aa kar ruk gayā huuñ
har musāfir
kohar-ālūda fazā meñ
har qadam ehsās kī Dorī se
anjāne safar ke dhuup chhāñv nāpne meñ
ek andhe kī tarah
ḳhālī havāoñ meñ chhaḌī lahrā rahā hai
jis tarah jalte hue ma.azūr pattoñ kā
havā ke ruḳh par uThtā hai dhuāñ
auhām kī chādar chaḌhāne
rāsta dikhlāne vaale
chāñd sūraj aur sitāroñ ke mazāroñ par
maiñ daurān-e-safar
kis dhuñd meñ
aage kā rasta DhūñDhtā huuñ
rāsta baa.eñ jo jaatā hai
samundar paar
us raste ke mutavāzī kushāda rāste
ik dūsre ko kāTte haiñ
saare raste
un baḌe rastoñ ke uupar chal rahe haiñ
aur
daa.eñ samt jo rasta gayā hai
kitnā pur-asrār hai
chaḌhtā utrā
jaal sā bantā huā
chāroñ taraf se
ek markaz kī taraf jaane kā
sīdhā rāsta dikhlā rahā hai
kaisā dorāhā hai ye
maiñ zindagī ke kaise dorāhe par
apnā dāhinā paañv uThā.e
vāhime ke kohar meñ
apnī chhaḌī lahrā rahā huuñ
zindagi ke aise dorahe par aa kar ruk gaya hun
har musafir
kohar-aluda faza mein
har qadam ehsas ki Dori se
anjaane safar ke dhup chhanw napne mein
ek andhe ki tarah
KHali hawaon mein chhaDi lahra raha hai
jis tarah jalte hue mazur patton ka
hawa ke ruKH par uThta hai dhuan
auham ki chadar chaDhane
rasta dikhlane wale
chand suraj aur sitaron ke mazaron par
main dauran-e-safar
kis dhund mein
aage ka rasta DhunDhta hun
rasta baen jo jata hai
samundar par
us raste ke mutawazi kushada raste
ek dusre ko kaTte hain
sare raste
un baDe raston ke upar chal rahe hain
aur
daen samt jo rasta gaya hai
kitna pur-asrar hai
chaDhta utra
jal sa banta hua
chaaron taraf se
ek markaz ki taraf jaane ka
sidha rasta dikhla raha hai
kaisa doraha hai ye
main zindagi ke kaise dorahe par
apna dahina panw uThae
wahime ke kohar mein
apni chhaDi lahra raha hun
- Book : Pakistani Adab (Pg. 252)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.