miTTi mausam aur rang
tum
jo miTTī mausam aur rañg pahchānte ho
apne talvoñ ko khurach kar dekho to an-ginat sadiyoñ
purānī miTTī kā lams pā kar ḳhush hoge
tum jo miTTī ho
aur zarā ġhaur se dekho to tumhāre jism kī
bairūnī sat.hoñ par
be-shumār mausamoñ ke nishāñ
tumheñ saaf dikhā.ī deñge
tum jo mausam to nahīñ ho lekin
mausamoñ hī se janme ho
aur mausamoñ kā ras pī kar hī parvān chaḌhe ho
aao tumheñ mausam kī sañgya de deñ
aur rañgoñ se to tumhārā naata vaisā hī hai
jaisā miTTī aur mausam kā hai
tum jo miTTī mausam aur rañg pahchānte ho
ḳhud miTTī ḳhud mausam aur ḳhud rañg ho
tum
jo miTTi mausam aur rang pahchante ho
apne talwon ko khurach kar dekho to an-ginat sadiyon
purani miTTi ka lams pa kar KHush hoge
tum jo miTTi ho
aur zara ghaur se dekho to tumhaare jism ki
bairuni sathon par
be-shumar mausamon ke nishan
tumhein saf dikhai denge
tum jo mausam to nahin ho lekin
mausamon hi se janme ho
aur mausamon ka ras pi kar hi parwan chaDhe ho
aao tumhein mausam ki sangya de den
aur rangon se to tumhaara nata waisa hi hai
jaisa miTTi aur mausam ka hai
tum jo miTTi mausam aur rang pahchante ho
KHud miTTi KHud mausam aur KHud rang ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.