be-abaad gharon ka nauha
be-ābād gharoñ meñ aisā hotā hai
duur ke des ko jaane vaalā kolhū kā ek bail banā hai
har pahlī ko harkāre ke haath meñ ek money-order kā rasta taktī
baap kī āñkheñ ḳhushī ḳhushī tasbīh ke daane jaldī jaldī pher rahī haiñ
bahneñ dollar ke ta.avīz banā kar gale meñ Daale ghuum rahī haiñ
bhaa.ī apne yāroñ meñ pardes ke qisse rang-birangī āvāzoñ meñ haañk rahe haiñ
ḳhush-fahmī kī maarī biivī apnī javānī umr ke calender meñ rakh kar kāmoñ meñ lag jaatī hai
maañ dīvār pe baiThe kavve kī āvāz ko sun kar ḳhush hotī hai
duur ke des meñ
kolhū kā vo bail bechāra
raat ko thak kar so jaatā hai
be-ābād gharoñ meñ aksar
aisā ho jaatā hai
be-abaad gharon mein aisa hota hai
dur ke des ko jaane wala kolhu ka ek bail bana hai
har pahli ko harkare ke hath mein ek money-order ka rasta takti
bap ki aankhen KHushi KHushi tasbih ke dane jaldi jaldi pher rahi hain
bahnen dollar ke tawiz bana kar gale mein Dale ghum rahi hain
bhai apne yaron mein pardes ke qisse rang-birangi aawazon mein hank rahe hain
KHush-fahmi ki mari biwi apni jawani umr ke calender mein rakh kar kaamon mein lag jati hai
man diwar pe baiThe kawwe ki aawaz ko sun kar KHush hoti hai
dur ke des mein
kolhu ka wo bail bechaara
raat ko thak kar so jata hai
be-abaad gharon mein aksar
aisa ho jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.