be-aman
yahī vaqt thā
haañ yahī vaqt thā
balki tārīḳh bhī to yahī thī
jab ik mehrbāñ haath ne
jaane kyā soch kar bas achānak
mirī ruuh ko thapthapāyā
mire dil ko thāmā
ajab ek vāraftagī se
aur kuchh pur-fusūñ āgahī se
mire sin-rasīda
dil-o-jāñ ko us ne
hayāt-āfrīñ lams se bhar diyā
apnī nazroñ meñ ḳhud mo'atabar kar diyā
sochtā huuñ anokhī thiiñ vo sā.ateñ kis qadar
kyā ajab merī aql-o-ḳhirad par asar thā
zamānoñ jahānoñ se maiñ be-ḳhabar thā
sitāre zamīñ āsmāñ kahkashāñ sab mire paañv kī dhuul the
havā bhī ki jis samt chaltī mire hukm se
aur ḳhushbū ki pahlū badaltī mire hukm se
maiñ ki masrūf thā roz-o-shab bādaloñ ke safar meñ
maiñ dil thā nazar thā havā thā ḳhudā thā kisī kī nazar meñ
ki be-misl yaktā yagāna thā maiñ apne har ik hunar meñ
mirī tābnākī mirā nūr-e-kāmil thā shams-o-qamar meñ
magar ek din phir achānak
ajab sāneha ho gayā
aur jaise mirā baḳht hī so gayā
iḳhtiyār-o-tafāḳhur kā vo silsila kho gayā
ab to bas maiñ huuñ aur mātam-e-ārzū
zindagī kuchh nahīñ mā-sivā hā-o-hū
dam-ba-dam dam-ba-dam hārtī justujū
ek āvāz aise meñ aatī huī
dil kī himmat dobāra bañdhātī huī
kah rahī hai musalsal ki ye ḳhvāb hai
ḳhauf hai vahm hai sehr hai
is ko hargiz haqīqat na jaan
aur maiñ zindagī maut ke darmiyāñ
tā-ba-hadd-e-karāñ be-amāñ be-amāñ be-amāñ
yahi waqt tha
han yahi waqt tha
balki tariKH bhi to yahi thi
jab ek mehrban hath ne
jaane kya soch kar bas achanak
meri ruh ko thapthapaya
mere dil ko thama
ajab ek waraftagi se
aur kuchh pur-fusun aagahi se
mere sin-rasida
dil-o-jaan ko us ne
hayat-afrin lams se bhar diya
apni nazron mein KHud mo'atabar kar diya
sochta hun anokhi thin wo saaten kis qadar
kya ajab meri aql-o-KHirad par asar tha
zamanon jahanon se main be-KHabar tha
sitare zamin aasman kahkashan sab mere panw ki dhul the
hawa bhi ki jis samt chalti mere hukm se
aur KHushbu ki pahlu badalti mere hukm se
main ki masruf tha roz-o-shab baadalon ke safar mein
main dil tha nazar tha hawa tha KHuda tha kisi ki nazar mein
ki be-misl yakta yagana tha main apne har ek hunar mein
meri tabnaki mera nur-e-kaamil tha shams-o-qamar mein
magar ek din phir achanak
ajab saneha ho gaya
aur jaise mera baKHt hi so gaya
iKHtiyar-o-tafaKHur ka wo silsila kho gaya
ab to bas main hun aur matam-e-arzu
zindagi kuchh nahin ma-siwa ha-o-hu
dam-ba-dam dam-ba-dam haarti justuju
ek aawaz aise mein aati hui
dil ki himmat dobara bandhati hui
kah rahi hai musalsal ki ye KHwab hai
KHauf hai wahm hai sehr hai
is ko hargiz haqiqat na jaan
aur main zindagi maut ke darmiyan
ta-ba-hadd-e-karan be-aman be-aman be-aman
- Book : Tabani (Pg. 213)
- Author : Mubeen Mirza
- Publication : Academy Bazyaft (2015)
- Edition : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.