be-aman saeban
ho rahā hai vahī
jis kā andesha zehnoñ meñ paltā rahā
ġhair logoñ ko apnā banāne kā fan
gul khilā kar rahā
tum jo yuuñ
dushman-e-jāñ hamāre bane the kaho
ham na kahte the ye faisla bhī tumhārā
hameñ apnī jānoñ pe sahnā paḌegā
ham na kahte the ik din ye hijrat kā dukh
ban ke nāsūr jismoñ ko khā jā.egā
ham na kahte the ye sā.ebāñ aarzī hai
ho raha hai wahi
jis ka andesha zehnon mein palta raha
ghair logon ko apna banane ka fan
gul khila kar raha
tum jo yun
dushman-e-jaan hamare bane the kaho
hum na kahte the ye faisla bhi tumhaara
hamein apni jaanon pe sahna paDega
hum na kahte the ek din ye hijrat ka dukh
ban ke nasur jismon ko kha jaega
hum na kahte the ye saeban aarzi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.