be-bak andhere
jab kabhī shab ke tilismāt meñ kho jaatā huuñ
yā tire husn kī āġhosh meñ so jaatā huuñ
terī tasvīr ubhartī hai pas-e-parda-e-ḳhvāb
ek TuuTe hue be-laus sitāre kī tarah
chiir kar sīna-e-āfāq kī tārīk fazā
az-rāh-e-vafā terī tasvīr uThā letā huuñ
āriz-o-lab ke javāñ giit churā letā huuñ
duur tak jāda-e-fardā pe mahak uThte haiñ
ummīd ke phuul ḳhvāb-e-fardā ke gulāb
jagmagāte haiñ mire dal ke charāġh
aur jab sarhad-e-idrāk pe siine se lagā.e hue tasvīr tirī
saañs letā huuñ Thahar jaatā huuñ
nā-gahāñ
āñdhiyāñ chaltī haiñ uḌātī huī dhuul
ġham ke tūfān machal jaate haiñ
terī tasvīr ke ubhre hue sab naqsh-o-nigār
jā ke bebāk añdheroñ se lipaT jaate haiñ
jab kabhi shab ke tilismat mein kho jata hun
ya tere husn ki aaghosh mein so jata hun
teri taswir ubharti hai pas-e-parda-e-KHwab
ek TuTe hue be-laus sitare ki tarah
chir kar sina-e-afaq ki tarik faza
az-rah-e-wafa teri taswir uTha leta hun
aariz-o-lab ke jawan git chura leta hun
dur tak jada-e-farda pe mahak uThte hain
ummid ke phul KHwab-e-farda ke gulab
jagmagate hain mere dal ke charagh
aur jab sarhad-e-idrak pe sine se lagae hue taswir teri
sans leta hun Thahar jata hun
na-gahan
aandhiyan chalti hain uDati hui dhul
gham ke tufan machal jate hain
teri taswir ke ubhre hue sab naqsh-o-nigar
ja ke bebak andheron se lipaT jate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.