be-barg shajar
ab meñ kis se kahūñ
ki kahne ke liye kuchh bhī nahīñ
na harf-o-lafz na āvāz na samā.at
koī rishta naatā hai nahīñ
ik ik kar ke rishte naate miTTī se bichhaḌ ke
aur paanī meñ Dūbte chale jaate haiñ
vahāñ jaane kā vaqt aa gayā hai
saath le jaane vaalā parinda sar par mañDlā rahā hai
isī liye daraḳhtoñ kī putliyāñ bilkul ḳhāmosh haiñ
ma.alūm huā ki koī kisī kā thā hī nahīñ
yā dil to shāyad mahz nirāshā kā Dher thā
is Dher par paanī kī ek buuñd bhī girne ko tayār nahīñ thī
safar karne vaalā barahna paañv to dhuul meñ paḌā rah gayā
maiñ ne shāyad use is liye nahīñ uThāyā ki
use kisī aur jism meñ lagāyā nahīñ jā saktā thā
ab mein kis se kahun
ki kahne ke liye kuchh bhi nahin
na harf-o-lafz na aawaz na samaat
koi rishta nata hai nahin
ek ek kar ke rishte nate miTTi se bichhaD ke
aur pani mein Dubte chale jate hain
wahan jaane ka waqt aa gaya hai
sath le jaane wala parinda sar par manDla raha hai
isi liye daraKHton ki putliyan bilkul KHamosh hain
malum hua ki koi kisi ka tha hi nahin
ya dil to shayad mahz nirasha ka Dher tha
is Dher par pani ki ek bund bhi girne ko tayar nahin thi
safar karne wala barahna panw to dhul mein paDa rah gaya
main ne shayad use is liye nahin uThaya ki
use kisi aur jism mein lagaya nahin ja sakta tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.