be-chehra ek aurat
merī apnī beTī siimā
chhoTī sī thī jab vo apnī
duudh kī botal piite piite
merī god meñ so jaatī thī
aur zarā sī baḌī huī to
phir bhī aksar
zid kar kar ke
mere paas hī so jaatī thī
is kī maañ se alag hue bas
chand mahīne guzre hoñge
maiñ ne ik din us kā bistar
ḳhud se alag lagvāyā
apne paas vo leTī mujh ko
be-chehra
ik puurī aurat lagtī thī
meri apni beTi sima
chhoTi si thi jab wo apni
dudh ki botal pite pite
meri god mein so jati thi
aur zara si baDi hui to
phir bhi aksar
zid kar kar ke
mere pas hi so jati thi
is ki man se alag hue bas
chand mahine guzre honge
main ne ek din us ka bistar
KHud se alag lagwaya
apne pas wo leTi mujh ko
be-chehra
ek puri aurat lagti thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.