be-dua lamhe
hamāre hoñToñ ke ġhaar
vīrāniyoñ meñ aise ghire
ki be-duā lamhoñ ne un par jaale bun kar
indar paḌī tamām duāoñ ko qaid kar diyā
hamāre lab muddat se
duāoñ ke zā.iqe kho chuke
koī nannhī sī duā rāsta pā kar
āsmānoñ kā safar kartī hai
to kitnī hī bhaTaktī bad-duā.eñ mil kar
is duā kā rāsta rok letī haiñ
ham be-duā rutoñ meñ ghir kar
apnī duāoñ ke ḳhazāne kho chuke haiñ
hamare honTon ke ghaar
viraniyon mein aise ghire
ki be-dua lamhon ne un par jale bun kar
indar paDi tamam duaon ko qaid kar diya
hamare lab muddat se
duaon ke zaiqe kho chuke
koi nannhi si dua rasta pa kar
aasmanon ka safar karti hai
to kitni hi bhaTakti bad-duaen mil kar
is dua ka rasta rok leti hain
hum be-dua ruton mein ghir kar
apni duaon ke KHazane kho chuke hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.