be-faiz mausam ki rafaqat mein
ḳhudāvandā
tujhe ma.alūm hai maiñ ne
ye apnī umr
kis be-faiz mausam kī rifāqat meñ guzārī hai
yaqīn-o-be-yaqīnī kī aziyyat meñ guzārī hai
ḳhudāvandā
tujhe ma.alūm hai mere
har ik jānib tirī sau ne.amateñ
bikhrī huī thiiñ
hazāroñ rāste the
manzileñ thiiñ
raushnī thī
rañg the ḳhushbū thī
phūloñ se ladī shāḳheñ thiiñ ḳhvāhish kī
tamannā.eñ laboñ par muskurāhaT ke
ka.ī naġhme sajā.e raqs kartī thiiñ
ka.ī jugnū mirī shāmoñ ke āñgan se guzarte the
mirī har aarzū kī apnī peshānī thī aur un se
ka.ī sūraj ubharte the
ka.ī mahtāb chehre
jhiil sī āñkheñ liye mere ta.āqub meñ nikalte the
mujhe āvāz de kar
rokne kī koshisheñ karte na thakte the
ka.ī dildār mausam the
ki jin meñ titliyāñ bārish ke rañgoñ meñ nahātī
haath phailātī
mare qurb-o-javār dīda-o-dil se guzartī thiiñ
magar maiñ ne
ḳhudāvandā
tujhe ma.alūm hai maiñ ne
tirī saarī ināyat ko
tirī un ne.amatoñ ko aañkh bhar kar bhī nahīñ dekhā
ḳhudāvandā
tujhe ma.alūm hai
tū jāntā hai
ki mire dil aur mirī āñkhoñ meñ bas vo
mausam-e-dil-dār bastā thā
isī mausam kī chāhat
aur mohabbat kā kahīñ
iqrār bastā thā
isī mausam ko dil ne apnī sub.h-shām jaanā thā
agarche raah meñ aayā huā saarā zamāna thā
ḳhudāvandā tujhe ma.alūm hai
tū jāntā hai
diloñ ke zaḳhm
aur āñkhoñ kī saarī kaifiyat pahchāntā hai
magar maiñ ne
use jānāna pahchānā
mujhe jo bhī kahā us ne
usī ko zindagī jaanā
usī ko raushnī jaanā
ḳhudāvandā
tujhe ma.alūm hai us ne
basar kī zindagī merī
churā lī raushnī merī
tujhe ma.alūm hai sab kuchh
ḳhudāvandā tujhe ma.alūm hai sab kuchh
mirī umr-e-guzishta kā
mirī umr-e-ravāñ kā
ek ik lamha
usī be-faiz mausam kī rifāqat ke hī kaam aayā
magar ab maiñ
ḳhudāvandā
magar ab maiñ mohabbat ke
usī be-faiz mausam kī rifāqat ke
azāboñ
aur ḳhvāboñ se
thakā-hārā huā insān
rihā.ī chāhtā huuñ
tirī sau ne.amateñ haiñ
un se tanhā.ī kī ne.amat chāhtā huuñ
ḳhudāvandā tujhe ma.alūm hai maiñ ne
ye apnī umr kas be-faiz mausam kī rifāqat meñ guzārī hai
yaqīn-o-be-yaqīnī kī aziyyat meñ guzārī hai
ḳhudāvandā
mujhe tanhā.ī kī ne.amat atā kar de
KHudawanda
tujhe malum hai main ne
ye apni umr
kis be-faiz mausam ki rifaqat mein guzari hai
yaqin-o-be-yaqini ki aziyyat mein guzari hai
KHudawanda
tujhe malum hai mere
har ek jaanib teri sau neamaten
bikhri hui thin
hazaron raste the
manzilen thin
raushni thi
rang the KHushbu thi
phulon se ladi shaKHen thin KHwahish ki
tamannaen labon par muskurahaT ke
kai naghme sajae raqs karti thin
kai jugnu meri shamon ke aangan se guzarte the
meri har aarzu ki apni peshani thi aur un se
kai suraj ubharte the
kai mahtab chehre
jhil si aankhen liye mere taaqub mein nikalte the
mujhe aawaz de kar
rokne ki koshishen karte na thakte the
kai dildar mausam the
ki jin mein titliyan barish ke rangon mein nahati
hath phailati
mare qurb-o-jawar dida-o-dil se guzarti thin
magar main ne
KHudawanda
tujhe malum hai main ne
teri sari inayat ko
teri un neamaton ko aankh bhar kar bhi nahin dekha
KHudawanda
tujhe malum hai
tu jaanta hai
ki mere dil aur meri aankhon mein bas wo
mausam-e-dil-dar basta tha
isi mausam ki chahat
aur mohabbat ka kahin
iqrar basta tha
isi mausam ko dil ne apni subh-sham jaana tha
agarche rah mein aaya hua sara zamana tha
KHudawanda tujhe malum hai
tu jaanta hai
dilon ke zaKHm
aur aankhon ki sari kaifiyat pahchanta hai
magar main ne
use jaanana pahchana
mujhe jo bhi kaha us ne
usi ko zindagi jaana
usi ko raushni jaana
KHudawanda
tujhe malum hai us ne
basar ki zindagi meri
chura li raushni meri
tujhe malum hai sab kuchh
KHudawanda tujhe malum hai sab kuchh
meri umr-e-guzishta ka
meri umr-e-rawan ka
ek ek lamha
usi be-faiz mausam ki rifaqat ke hi kaam aaya
magar ab main
KHudawanda
magar ab main mohabbat ke
usi be-faiz mausam ki rifaqat ke
azabon
aur KHwabon se
thaka-haara hua insan
rihai chahta hun
teri sau neamaten hain
un se tanhai ki neamat chahta hun
KHudawanda tujhe malum hai main ne
ye apni umr kas be-faiz mausam ki rifaqat mein guzari hai
yaqin-o-be-yaqini ki aziyyat mein guzari hai
KHudawanda
mujhe tanhai ki neamat ata kar de
- Book : Muntakhab Shahkar Nazmon Ka Album) (Pg. 515)
- Author : Munavvar Jameel
- Publication : Haji Haneef Printer Lahore (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.