Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

be-ghar

Javed Akhtar

be-ghar

Javed Akhtar

MORE BYJaved Akhtar

    shaam hone ko hai

    laal sūraj samundar meñ khone ko hai

    aur us ke pare

    kuchh parinde

    qatāreñ banā.e

    unhīñ jañgaloñ ko chale

    jin ke peḌoñ shāḳhoñ pe haiñ ghoñsle

    ye parinde

    vahīñ lauT kar jā.eñge

    aur so jā.eñge

    ham hairān haiñ

    is makānoñ ke jañgal meñ

    apnā kahīñ bhī Thikānā nahīñ

    shaam hone ko hai

    ham kahāñ jā.eñge

    sham hone ko hai

    lal suraj samundar mein khone ko hai

    aur us ke pare

    kuchh parinde

    qataren banae

    unhin jangalon ko chale

    jin ke peDon ki shaKHon pe hain ghonsle

    ye parinde

    wahin lauT kar jaenge

    aur so jaenge

    hum hi hairan hain

    is makanon ke jangal mein

    apna kahin bhi Thikana nahin

    sham hone ko hai

    hum kahan jaenge

    Source :
    • Book : Tarkash (Pg. 152)
    • Author : Javed Akhtar
    • Publication : Star Publications Pvt. Ltd (2008)
    • Edition : 2008
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now