be-hisi
be-hisī
be-hisī
mujh se tū kyoñ ruuTh ga.ī
maiñ ne ehsās ke har dāman ko
chaak kar Daalā hai
qasdan shāyad
dil-girafta huuñ ye sach hai
lekin
hai ye ek rasm-e-qadīm
ho vo andesha-e-fardā
ki ho fikr-e-imroz
raas ab aate nahīñ
tujh se vābasta mirī zaat hai ab
aa bhī jā mujh se tū kyoñ ruuTh ga.ī
be-hisi
be-hisi
mujh se tu kyon ruTh gai
main ne ehsas ke har daman ko
chaak kar Dala hai
qasdan shayad
dil-girafta hun ye sach hai
lekin
hai ye ek rasm-e-qadim
ho wo andesha-e-farda
ki ho fikr-e-imroz
ras ab aate nahin
tujh se wabasta meri zat hai ab
aa bhi ja mujh se tu kyon ruTh gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.