be-hisi
sisak sisak ke abhī so gayā hai
ik bachcha
lipaT ke maañ se ye ma.asūm
jab bilaktā thā
paḌosiyoñ ne bahut nāk-bhauñ chaḌhā.ī thī
aur is pe tanz ki ziddī bahut hai ye bachcha
magar kisī ne na pūchhā ki zid ye kaisī thī
use talāsh khilaune kī thī
na kapḌoñ kī
bilak rahā thā lagī thī jo us ke peT meñ aag
zarūrat us ko thī roTī kī sirf roTī kī
ab is ko aap
zarūrat kaheñ ki zid kah deñ
hamāre daur ke ma.asūm kī
ye ḳhvāhish thī
sisak sisak ke abhi so gaya hai
ek bachcha
lipaT ke man se ye masum
jab bilakta tha
paDosiyon ne bahut nak-bhaun chaDhai thi
aur is pe tanz ki ziddi bahut hai ye bachcha
magar kisi ne na puchha ki zid ye kaisi thi
use talash khilaune ki thi
na kapDon ki
bilak raha tha lagi thi jo us ke peT mein aag
zarurat us ko thi roTi ki sirf roTi ki
ab is ko aap
zarurat kahen ki zid kah den
hamare daur ke masum ki
ye KHwahish thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.