be-iltifati
maiñ ne har ġham meñ tirā saath diyā hai ab tak
terī har taaza masarrat pe huā huuñ masrūr
apnī qismat ke badalte hue dhāroñ ke sivā
terī qismat ke bhañvar se bhī huā huuñ majbūr
tere siine kā har ik raaz batā saktā huuñ
mujh meñ poshīda nahīñ koī tirā soz-e-darūñ
fikr-e-mānūs pe zāhir hai har ik ḳhvāb-e-jamīl
aur har ḳhvāb se miltā hai tujhe kitnā sukūñ
aaj tak tū ne magar mujh se na pūchhā hai kabhī
kyuuñ mire ġham se tirā chehra utar jaatā hai?
jab mire dil meñ lahakte haiñ masarrat ke kañval
kyuuñ tirā chehra masarrat se nikhar jaatā hai?
main ne har gham mein tera sath diya hai ab tak
teri har taza masarrat pe hua hun masrur
apni qismat ke badalte hue dhaaron ke siwa
teri qismat ke bhanwar se bhi hua hun majbur
tere sine ka har ek raaz bata sakta hun
mujh mein poshida nahin koi tera soz-e-darun
fikr-e-manus pe zahir hai har ek KHwab-e-jamil
aur har KHwab se milta hai tujhe kitna sukun
aaj tak tu ne magar mujh se na puchha hai kabhi
kyun mere gham se tera chehra utar jata hai?
jab mere dil mein lahakte hain masarrat ke kanwal
kyun tera chehra masarrat se nikhar jata hai?
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.